Showing posts with label Hindi-Urdu Poetry. Show all posts
Showing posts with label Hindi-Urdu Poetry. Show all posts

Sunday, 25 July 2010

Hindi Poetry-Mujhe Kahin Aur Le Chal


Mujhe Kahin Le Chal
*~*~*~*~*~*~ *~*~*~*~* ~*~*




Mujhe Kahin Aur Le Chal ..........

Jahan Raat Kabhi Soyi Naa Ho
Jahan Subha Kisi Par Royi Naa Ho
JahanHijr Ki Wehshat Boyi Naa Ho
Jahan Kisi Ka Koi Khoya Naa Ho



Mujhe Aur Kahin Le Chal........ ..

Jahan Shaher Ho Saare Veeran
Jahan Log Sabhi Ho Begane
Jahan Hume Koi Naa Pechane



Mujhe Aur Kahin Le Chal........ ..

Jahan Dard Kisi Ko Raas Naa Ho
Jahan Koi Malool Udaas Naa Ho
Jahan Zulmat Ki Koi Baas Naa Ho
Jahan Tu Bhi Zyada Paas Naa Ho


Mujhe Aur Kahin Le Chal........ ...

Hindi Poetry-Tum ko Maloom Bhi Shayad Ye Kabhi Ho K Na Ho

Tum ko Maloom Bhi Shayad Ye Kabhi Ho K Na Ho


Tum ko Maloom Bhi Shayad Ye Kabhi Ho K Na Ho


Meri Raatein..Teri Yaadon se saji rahti hain
Meri Saansein Teri Khushboo mein basi rahti hain


Meri Aankhon mein Tera Sapna saja rahta hai
Haan Mere Dil mein Tera hi Aks basa rahta hai


Is tarah Mere Dil ke bahut Paas ho Tum
Jis tarah paas hi Sheh-E-Rag ke Khuda rahta hai


Tum ko Maloom bhi shayad ye kabhi ho k na ho..!!


Mere Aangan mein lage phool gawahi denge
Mainne Arsey se kisi Phool ko dekha bhi nahi


Tujh ko socha hai to phir Tujh ko hi socha hai faqat
Tere siwa....kisi aur ko socha bhi nahi

Tum ko Maloom bhi shayad ye kabhi ho k na ho..!!

Hindi Poetry-Ye Yaad Nahi Kya Kuchh Khoya

Ye Yaad Nahi Kya.....



Ye Yaad Nahi Kya
Kuchh Khoya
Bus Yaad Raha
Mujhe Pyaar Huya,


Jub Pyaar Huya
Sab Bhool Gaye
Ek Yaad Raha
Bas Naam Tera,


Hum Masjid
Mandir Bhool Gaye
Mujhe Yaad Raha
Bas Saath Tera,


Kuchh Salon Baad
Wo Hum Se Miley
Main Pooch Baitha
Kya Haal Tera?


Wo Hans K Boley
Bin Dekhe
Tu Ye To Bata Kya
Naam Tera?

Hindi Poetry-Hota gar khuda to

Hota gar khuda to......


Hota gar khuda to yeh bhookh ye bimari na hoti
saari khudayi yoon zillat ki maari na hoti


Na hota kahin gareeb aur laachaar insaan
Mahgayi me ye kala bazaari na hoti


Na hota gamgeen koyi uski saltanat me
Is tarah muqaddar ki khwaari na hoti


Hota har haath ko kaam aur pet ko roti
Kahi shoshan aur kahi berojgaari na hoti


Koi dhanda na banata dharam ki afeem ka
Kahi uske naam ki dukandaari na hoti


Sab hote samaan ek jaise khus jahaan me
Gareeb pe ameer ki sawari na hoti


Kitna hota sukoon is duniya me chaaro taraf
Chain-o-khuloosh hota koi dushwaari na hoti


Kaash hota jo pyaar insaan ka insaan se
To har mulk me hota aman kahi bombaari na hoti

Hindi Poetry-yahi wo raat hai kehte hain katl ki jisko

yahi wo raat hai kahte hain katl ki jisko


Har ghadi roshni charago se ho mumkin nahi
Andhere unki kismat me bhi der raat hote hain


khayaal noor ka paya tha hamne khwaabon me
Andhere raaste taabeer bante dekhe hain


kami sukoon me paayi na hamne raato ko
Yahi wo pal hai sitare bhi tootte dekhe


Ajab khayaal se raaton ko mujhko aate hain
Kahi pe neend bhi uski toh so gayi hogi


Jalana jism ko mere jaha amaavas ho
Andheri raat me kuchh pal ko roshni hogi


har ek raat ko lagta hai jaane kyu mujhko
yahi wo raat hai kehte hain katl ki jisko


Huye beizzat jo din ko to khair jane do
Tamasha raat ka ab yu na sabko aam karo..

Hindi Poetry-Koyi Us Ko Bhi Na Pahchaan Saqa Merey Baad

Koyi Us Ko Bhi Na Pahchaan Saqa Merey Baad


Na Koi Rang Na Haathon Pe Hina Merey Baad
WO Mukammal Hi Siya Posh Huwa Merey Baad


Le Ke Jata Raha Har Shaam Wo Phool Or Chirag
Bas Yahi Us Ne Kiya, Jitna Jiya Merey Baad


Roz Ja Kar Wo Samandar Ke Kinarey Chup Chaap
Nao Kagaz Ki Bahata Hi Raha Merey Baad


Us Ke Honthon Se Mera Naam Nikal Jata Tha
Jis Ne Apnaya Usey Chhor Diya merey Baad


Main Ne Girney Na Diye They Kabhi Aansoo Uske
Shayad Is Wastey Wo Roo Na Saqa Merey Baad


Main Bhi Waisa Na Raha Us Key Bichhar Janey Se
Koyi Us Ko Bhi Na Pahchaan Saqa Merey Baad


Sari Duniya Ne Usey Maal-e-Ghanimut Samjha
Jo Na Socha Tha Kabhi Wo Bhi Huwa Merey Baad


Us Ka Hasna Mujhey Bhata Tha So Wo Shakhs
Baal Kholey Huye Hansta Hi Raha Merey Baad.....

Hindi Poetry-Hum Teray Shaher Se

Hum Teray Shaher Se Jatay Huye Mar Jatay Hain


Dasht Mein Pyaas Buhjatey Huye Mar Jatay Hain
Hum Parinday Kaheen jatay Huye Mar Jatay Hain


Hum Hain Sookhay Huye Talaab Pay Baithay Huye Hans
Jo Taulluq Ko Nibhatay Huye Mar Jatay Hain


Ghar Pahunchta Hai Koi aur Humaray Jaisa
Hum Teray Shaher Se Jatay Huye Mar Jatay Hain


Un Kay Bhi Qatal Ka Ilzaam Humaray Sir Hai
Jo Humain Zaher Pilaatay Huye Mar Jatay Hain


Yeh Mohabbat Ki Kahani Nahi Marti Lekin
Log Kirdaar Nibhatay Huye Mar jatay Hain


Hum Hain Wo Tooti Huyi Kashtiyon Walay TABISH
Jo Kinaroon Ko Milaatay Huye Mar jatay Hain

Hindi Poetry-Yaad mat aao mujhey

Yaad mat aao mujhey ek Gunaah karna hai



Kaun kahta hai tujhey khud se juda karna hai
Umar bhar Khud se Judayi ka gila karna hai


Tu tasawwur mein hai, gunaho'n se sharm aati hai
Yaad mat aao mujhey ek Gunaah karna hai


Duniya daari se jo fursat mili to soche'n gey
Ke wafaa unko koi ehd-e-wafaa karna hai


Tu agar na ho to kis kaam ki shuruaat meri
Tu jo mil jaye to shuruaat ko be kya karna hai


Main tera aks hoo'n aye jaan-e-tamanna meri
Kya paree tujh ko, jo khud se be haya karna hai

Hindi Poetry-Phir kisi yaad ne

Phir kisi yaad ne shabb bhar hai jagaya mujhko


Phir kisi yaad ne shabb bhar hai jagaya mujhko
Kya saza di hai mohabbat ne khudaya mujhko


Din ko aaraam hai na raat ko hai chain abhi
Janey kis khak se qudrat ne banaya mujhko


Dukh to ye hai k zamaney me miley gair sabhi
Jo mila hai wo mila bann k paraya mujhko


Jab koi bhi na raha kandha merey roney ko
Ghar ki deevar ne siney se lagaya mujhko


Unko ummeed-e-wafa tum se nahi hai koi
Phir chirago ki tarha kis ne jalaya mujhko


Be wafa zeest ne jab chhod diya hai tanha
Maut ne pyaar se pahloo me bithaya mujhko


Wo diya hoon jo mohabbat ne jalaya tha kabhi
Gam ki aandhi ne sar-e-sham bujhaya mujhko


Kaisey bhuloonga wahi wasl ke lamhey main
Yaad aata raha uski zulfon ka saya mujhko

Hindi Poetry-Tumhein Main Bhool Jaoonga

Tumhein Main Bhool Jaoonga, Magar Wada Nahi Karta


Tumhein Main Bhool Jaoonga, Magar Wada Nahi Karta
Hamesha Muskuraoonga, Magar Wada Nahi Karta


Tumhari Har Nishani Ko Main Dariya Burd Kar Doonga
Tumharey Khat Jalaoonga, Magar Wada Nahi Karta


Tumhara Zikar Mahfil Mein Huwa To, Khamosh Rahna Hai
Main Khud Ko Aazmaoonga, Magar Wada Nahi Karta


Tujhey Wapis Bulana Hai, Nahi Deni Hai Sada Koyi
Main Yoon Dil Ko Manaoonga, Magar Wada Nahi Karta


Chalo Yeh Tai Huwa Humdum, Hijr Ke Geet Koyi Bhi
Kabhi Na Gungunaoonga, Magar Wada Nahi Karta


Chalo Tumse Yeh Wada Hai, K Dil Mein Dard Hain Jitne
Kisi Ko Na Sunaoonga, Magar Wada Nahi Karta


Sitaro Neend Ke Maro, Chalo Khawbon Ki Duniya Mein
Main Bhi So Hi Jaoonga, Magar Wada Nahi Karta


Chalo Yeh Tumse Wada Hai, Koyi Bhi Qeemti Moti
Na Aankhon Se Giraoonga, Magar Wada Nahi Karta .....

Hindi Poetry-Usey apne rishton ki fikir thi

Usey apne rishton ki fikir thi.....



Usey apne rishton ki fikir thi wo jo mera waqif-e-haal tha
woh jo uski subah-e-urooj thi woh mera waqt-e-zawal tha


meri baat kaisey wo manta mera dard kaisey wo janta
wo tu khud fana k safar pe tha usay tu rokna b muhaal tha


kahan jao ge mujh chor kar main pooch pooch ke thak gaya
wo jawab mujh ko na de saka wo tu khud sarapa-e-sawal tha


wo mila jo sadyion baad bhi mere lab pe koi gila na tha
meri chup ne usay rula diya jisey guftago main kamal tha


Hindi Poetry-Us sey kahna

Us sey kahna.......

Us sey kahna....

Abhi tak dil dharakta hai
Abhi tak saans chalti hai
Abhi tak meri ye aankhein
Suhaney khawaab bunti hain


Merey honthon ki jumbish mein
Tumhara naam rahta hai
Abhi barish ki boondon mein
Tumhara pyaar baqi hai


Us sey ye bhi bata dena
Abhi izhaar baqi hai
Abhi yaadon k kaanton sey
Mera daman ulajhta hai


Tumhara pyaar seeney mein
Kahin ab bhi dharakta hai
Hawa ab bhi mawaqif hai
Hamarey saath chalti hai


Us sey kahna...!!
Judayi ka abhi mausam nahi aaya
Mohabbat ki kahani mein
Kahin par gum nahi aaya


Magar sab kuchh badalney mein
Bhala kahin der lagti hai
Naya sooraj nikalney mein
Bhala kahin der lagti hai


Us sey kahna!!
Woh jaldi faisla kar ley
Naye raston pey chalney mein
Bhala kya der lagti hai ............!!


Hindi Poetry-Aankhon Ke Samandar

Woh Zabt Na Kar Paayeingi Aankhon Ke Samandar


Dukh Dard Ke Maaron Se Mera Zikar Na Karna
Ghar Jao Toh Yaaron Se Mera Zikar Na Karna


Woh Zabt Na Kar Paayeingi Aankhon Ke Samandar
Tum Raah Guzaaron Se Mera Zikar Na Karna


Phoolon Ke Nasheman Mein Raha Hoon Mein Sadaa Se
Dekho Kabhi Khaaron Se Mera Zikar Na Karna?


Shayed Yeh Andherey Hi Mujhe Raah Dikhayein
Ab Chaand Sitaaron Se Mera Zikar Na Karna


Woh Meri Kahani Ko Galat Rung Na De Dein
Afsana Nigaaron Se Mera Zikar Na Karna


Shayed Woh Meray Haal Pay Be-Sakhta Ro Dein
Is Baar Bahaaron Se Mera Zikar Na Karna


Le Jaayeingi Gahrayi Mein Tum Ko Bhi Baha Kar
Dariya Ke Kinaron Se Mera Zikar Na Karna


Woh Shakhs Miley Toh Usay Har Baat Batana
Tum Sirf Ishaaron Se Mera Zikar Na Karna

Hindi Poetry-Sapno Ke Madhosh Fiza Ka

Sapno Ke Madhosh Fiza Ka Sabz Sunhara Jadoo Hoon


Sapno Ke Madhosh Fiza Ka Sabz Sunhara Jadoo Hoon
Tum Kya Jano Jogi Hoon Ya Alakh Jagata Jugnu Hoon


sannate Ki Kabra Se Uthkar Raat Ki Bhul- Bhulaiya Me
Sadiyo Se Jo Bhatak Raha Hai Main Us Khwaab Ki Khusboo Hoon


Tajmahal Humraj Hai Lekin Aap Na Samjhengi Shayad
Sangmarmar Ki Aankho Ka Ek Tapakta Aansu Hoon


Dekh Kahin Chhoo Jaye Na Mujhse Koi Kinara Aanchal Ka
Jisse Dhuaan Barf Banu Main wo Aag Bhari Lu Hoon


Ek Dooje Ki Zid Hai Par Aapas Me Kaisa Sanyog
Tum HO Chaand Badan Ladki Main Kaley Rang Ka Jadoo Hoon


Jiske Sang Khushi Se Nache Mandir Masjid Maikhane
Tere Pair Ki Jhanjhar Ka Wo Shor Machata Ghunghru Hoon

Hindi Poetry-Wo apni saari nafratein

Wo apni saari nafratein.......



Wo apni saari nafratein mujh pay lutata raha….
Mera dil jis ko sada mohabbatein sikhata raha….


Us ki aadat ka zara ye pahloo to dekho….
Mujh se kiye waaday wo kisi aur se nibhata raha….


Kuchh khabar nahi wo kya chahta tha?….
K taaluq tor kar bhi mujh ko aazmata raha….


Tootey huye taaluq mein bhi kitni mazbooti hai…
Main jitna bhulata raha wo utna hi yaad aata raha

Hindi Poetry-Ek taaj banakar mujhko tum

Ek taaj banakar mujhko tum.....



Ek taaj banakar mujhko tum
Har pal sar par rakhna Maa ...


Le jaye na mujhko koi kahin
Mujhe chhupaye apni bahon me rakhna Maa ...


Jo mamta me had se gujar jao kabhi
Mera naam tum apne geeton me rakhna Maa ...


Main karta hoon ahsaas tumhara har pal
Tum yaad mujhe bas dil me rakhna Maa ...


Kahin bikhar na jaau main
Mujhe apne pyaar ki panaho me rakhna Maa ...


Hindi Poetry-Sari zindagi ik bewafa k naam karty hain

Sari zindagi ik bewafa k naam karty hain



Iss duniya k bassi b ajab ajab se kaam kartay hain,
Sari zindagi ik bewafa k naam karty hain,

Kar letay hain un ki soch mein khud ko gum-naam,
Aur phir khud ko un mein talash karty hain,

Khud kho jatay hain madhoshi k aalam mein,
Aur zindagi ko un k naam karty hain,

Chaltay phirtay har shakhs ko dekh kar us k,
Saye mein b un ko talash karty hain,

Khayalon ki to baat rahi aik taraf,
Khuwabon mein b un ka dedaar karty hain,

Bithaye rakhty hain khud ko samnay un k ghar majodgi mein un k,
Yon he bethay subha se shaam karty hain,

Dekh kar har phool mein un k mukhrray ko,
Najanay kyun woh phoolon ko b salaam karty hain,

Woh samnay hon to ho ga kaya aalam....?
Un ko dekhay bagair he un se kalaam karty hain,


Hindi Poetry-Chalo ik aur duniya mein

Chalo ik aur duniya mein


Chalo ik aur duniya mein,
Tumharay saath chaltay hain..


Jahan haLaat Kuchh bhi hon,
Magar hum saath rahte Hon..


Jahaan mausam koyi bhi Ho,
Judayi Ka Na Ho lekin..


JahaN CHAAND bhi tum ho,
Jahan Suraj,
HAWA, ROSHNi,
KHUSHBUON Ka, Rang Tum Se Ho..


JahaN Par DiL Dharknay Ka,
Har iK Ehsaas Tum se Ho..


Jahaan par meray jeeney Ki,
Saari... Aas Tum se ho..


CHALO iK Aur duniya mein,
Tumharay saath chaltay hain..

Hindi Poetry-Koi to ho jo meri soch ko kitaab karay

Koi to ho jo meri....


Koi to ho jo meri soch ko kitaab karay

aur apne lafz mere naam intisaab karay

main apni chandni raaton mein us k geet likhoon

wo mere dard k sehra ko phir chanaab karay

main us se pyaar karun aur be-kinaar karun

wo mujh pe zulm karay aur be-hisaab karay

main dhoop ban k nikharta rahun bikharta rahun

wo mujh ko khud mein sametay to aaftaab karay

ab is tarah ka saathi kab milay ga Faraz

ki aakar wo mujhse kuchh khilwad karey



Hindi Poetry-USI KO YAAD KARTA HOON

USI KO YAAD KARTA HOON


Usay itna bata dena

Mein us se door ho kar bhi..

Boht majboor ho kar bhi..

Dukhon se choor ho kar bhi..

" USI KO YAAD KARTA HOON "

Mein dukh apne chupa kar bhi..

Khushi k geet ga kar bhi..

Hansi honton pe saja kar bhi..

" USI KO YAAD KARTA HOON "

Jahan k ghamon mein kho kar bhi..

Kisi se door ho kar bhi..

" BUS USKO YAAD KARTA HOON "