Sunday 11 July 2010

Hindi Poetry-Baki hai usse mera abhi ahsaas hona bhi

Baki hai usse mera abhi ahsaas hona bhi



Bahut Ummeed rakhna aur fir be'aas hona bhi,
Man ko maar deta hai bahut ahsaas hona bhi,


Suno ik kaan se aur doosre se fenk do bahar,
Bahut nuksan dey hai saheb-e-ahsaas hona bhi,


Agar tum dikhawe ke liye hi sath ho mere,
Chalo' itna hi kafi hai tumhara paas hona bhi,


Yoon to abr-e-rehmat ki talab karta nahi hoon main,
Zaroori hai muqaddar main zara si pyaas hona bhi,


Kayi chehre latak jate hain khushiyo ki khabar sun kar,
Humein to roop deta hai gamon ka raas hona bhi,


Jalegi khud-ba-khud sadiyon dilon mein pyaar ki shama,
Baki hai usse mera abhi ahsaas hona bhi...!!!

_________________

No comments:

Post a Comment