Sunday 25 July 2010

Hindi Poetry-Dil ke qaraar ki baat kya kahiye

Dil ke qaraar ki baat kya kahiye



Ishq ke khumaar ki baat kya kahiye
dil ke qaraar ki baat kya kahiye


Sare jahan main bas lagta hai wo hasin
Us dilbar kae andaaz ki baat kya kahiye


Surur hi surur hai nasha hi nasha hai
kaise kat-te hain din-raat kya kahiye


Maykade mein jaakar bhi chadta nahi nasha
Un ankhon ke jaam ki bat kya kahiye

Jis raah mein ban jayen hum raah wo mere
us pariwash rahguzar ki baat kya kahiye


Ishq ke khumaar ki baat kya kahiye
dil kae qarar ki baat kya kahiye


No comments:

Post a Comment